Monday 18 April 2011

Sarwar E Qainaat

Roza Mubarak Of
Sarwar E Qainaat , Rahematullil Aalamin, Aaqa E Naamdaar, Malik-o-Mukhtaar
Huzur Muhammad Mustafa Sallallaho Alayhe Wasallam.

Sambhal Ja Aey Dil-E-Muztar Madina Aane Wala Hai,
Luta Aey Chashme Tar Gauhar Madina Aane Wala Hai.

Qadam Ban Jaye Mera Sar Madina Aane Wala Hai,
Bichun Raah Mai Nazar Ban Kar Madina Aane Wala Hai.

Gubaar E Raah Anwar Kis Kadar Pur Nur Hai "AKHTAR"
Tani Hai Noor Ki Chadar Madina Aane Wala Hai.